اردو हिंदी
Humne mana hamein barbaad karegi duniya | Shaahi Shayari
humne mana hamein barbaad karegi duniya

Ghazal

Humne mana hamein barbaad karegi duniya

Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

;

hum ne mana hamein barbaad karegi duniya
kar ke barbaad magar yaad karegi duniya

jab use zulm-o-sitam hi mein maza aata hai
kisi nashad ko kya shad karegi duniya

dekhna ye hai ki hum ahl-e-junun par kab tak
nit nae tarz ki bedad karegi duniya

aaj tu apni karamat pe itraati hai
kal magar aap hi fariyaad karegi duniya

dushmani hai use arbab-e-wafa se lekin
ye na honge to inhen yaad karegi duniya

nahin malum yunhi KHud ko kahan tak 'mansha'
qaid-e-aKHlaq se aazad karegi duniya