hum ne kuchh pankh jo dalan mein rakh chhoDe hain
panchhi aa jaenge is dhyan mein rakh chhoDe hain
sar-bulandi ho ki ai rahguzar-e-dil hum ne
sare jhagDe hi teri shan mein rakh chhoDe hain
aisa aashob-e-tawazun tha ki patthar sare
khench kar palla-e-mizan mein rakh chhoDe hain
sochta hun ki wo iman hi le aae kabhi
raKHne kuchh aise bhi iman mein rakh chhoDe hain
rakh liye rauzan-e-zindan pe parinde sare
jo na wan rakhne the diwan mein rakh chhoDe hain
aise kuchh din bhi the jo hum se guzare na gae
wapsi ke kisi saman mein rakh chhoDe hain
aaj ka din hai kisi baad-e-hina chalne ka din
aaj ke lamhe isi shan mein rakh chhoDe hain
Ghazal
Humne kuchh pankh jo dalan mein rakh chhoDe hain
Afzal Naved