hum ne kis din tere kuche mein guzara na kiya
tu ne ai shoKH magar kaam hamara na kiya
ek hi bar huin wajh-e-giraftari-e-dil
iltifat un ki nigahon ne dobara na kiya
mahfil-e-yar ki rah jaegi aadhi raunaq
naz ko us ne agar anjuman-ara na kiya
tan-e-ahbab sune sarzanish-e-KHalq sahi
hum ne kya kya teri KHatir se gawara na kiya
jab diya tum ne raqibon ko diya jam-e-sharab
bhul kar bhi meri jaanib ko ishaara na kiya
ru-ba-ru chashm-e-tasawwur ke wo har waqt rahe
na sahi aankh ne gar un ka nazara na kiya
gar yahi hai sitam-e-yar to hum ne 'hasrat'
na kiya kuchh bhi jo duniya se kinara na kiya
Ghazal
Humne kis din tere kuche mein guzara na kiya
Hasrat Mohani