hum ne KHak-e-dar-e-mahbub jo chehre pe mali
qissa-e-dard chhiDa baat se phir baat chali
kis tarah samjhun mera ishq hai sargarm-e-safar
rah bedar hui hai na kahin shama jali
dil ko bahlaen ki qadmon ko sambhaalen hum log
jab nae moD pe pahunche hain to ye sham Dhali
ye mere naqsh-e-qadam waqt se miT sakte hain
apne sine se lagae hai jinhen teri gali
hum ne har tar-e-gareban ko banaya daman
teri yaadon ko liye baad-e-bahaari jo chali
mujh ko is barq se bas itna hi shikwa hai 'saba'
aashiyan jal gaya kyun shaKH-e-nasheman na jali
Ghazal
Humne KHak-e-dar-e-mahbub jo chehre pe mali
Saba Jayasi