اردو हिंदी
Humne kaTi hain teri yaad mein raaten aksar | Shaahi Shayari
humne kaTi hain teri yaad mein raaten aksar

Ghazal

Humne kaTi hain teri yaad mein raaten aksar

Jaan Nisar Akhtar

;

hum ne kaTi hain teri yaad mein raaten aksar
dil se guzri hain sitaron ki baraaten aksar

aur to kaun hai jo mujh ko tasalli deta
hath rakh deti hain dil par teri baaten aksar

husn shaista-e-tahzib-e-alam hai shayad
gham-zada lagti hain kyun chandni raaten aksar

haal kahna hai kisi se to muKHatab hai koi
kitni dilchasp hua karti hain baaten aksar

ishq rahzan na sahi ishq ke hathon phir bhi
hum ne luTti hui dekhi hain baraten aksar

hum se ek bar bhi jita hai na jitega koi
wo to hum jaan ke kha lete hain maten aksar

un se puchho kabhi chehre bhi paDhe hain tum ne
jo kitabon ki kiya karte hain baaten aksar

hum ne un tund-hawaon mein jalae hain charagh
jin hawaon ne ulaT di hain bisaten aksar