hum ne jo us ki midhaton se kan bhar diye
goya ki kan lal kiya kan bhar diye
kya kya jafaen us but-e-bad-kesh ki kahun
majlis mein saikDon hi musalman bhar diye
mamur ho gaya teri dawat se sab makan
itr aur pan phul se dalan bhar diye
KHali latafaton se talawwun tera nahin
sanea ne tujh mein rang sab ai jaan bhar diye
ai 'mehr' husn-e-lutf-e-mazamin kuchh aur hai
yun to sabhon ne sheron se diwan bhar diye
Ghazal
Humne jo uski midhaton se kan bhar diye
Syed Agha Ali Mehr