hum ne jab koi bhi darwaza khula paya hai
kitni guzri hui baaton ka KHayal aaya hai
qafila dard ka Thahrega kahan ham-safaro
koi manzil hai na basti na kahin saya hai
ek sahma hua sunsan gali ka nukkaD
shahr ki bhiD mein aksar mujhe yaad aaya hai
yun liye phirta hun TuTe hue KHwabon ki salib
ab yahi jaise meri zist ka sarmaya hai
shahr mein ek bhi aawara nahin ab ke baras
mausam-e-lala-o-gul kaisi KHabar laya hai
un ki TuTi hui diwar ka saya 'azar'
dhup mein kyun mere hamrah chala aaya hai
Ghazal
Humne jab koi bhi darwaza khula paya hai
Kafeel Aazar Amrohvi