hum ne jab chaha koi aag bujhane aae
aae to log magar dil ko jalane aae
kuchh asar hota nahin bazm-e-tarab ka dil par
dard ka git koi aaj sunane aae
ras jab aa na saka shahr-e-KHirad ka mahaul
wusat-e-dasht-o-bayaban mein diwane aae
bhagi jati hai ye duniya nai raunaq ki taraf
shahr hai ujDa hua kaun basane aae
aaj tak jin ko nahin rah-e-sadaqat ki KHabar
haqq-o-baatil ka wahi farq batane aae
kyun kisi ghair pe ilzam main rakhta 'anjum'
mere apne wo sabhi the jo rulane aae
Ghazal
Humne jab chaha koi aag bujhane aae
Ghayas Anjum