hum ne ek umr mein kya kya na jahan dekhe hain
aasman dekhe hain aur qar-e-nihan dekhe hain
jin ki baaton mein tajalli thi KHamoshi mein tilism
wahi arbab-e-hunar soKHta-jaan dekhe hain
naghma-o-sher-o-zaban ahl-e-siyasat ke qatil
puri tahzib ke miTne ke nishan dekhe hain
iqitdar-o-hawas-o-shor-o-munafiq-nazari
jin ka shewa raha wo pir-e-mughan dekhe hain
jins-e-arzan ki tarah bikte hue ahl-e-qalam
ishtihaaron mein saje gul-badnan dekhe hain
jin se tariKH ke safhat bhi jag uThte the
wo zamane wo fasane guzaran dekhe hain
wo hikayat raqam kin ki qalam KHun roya
har rag-e-tak pe zaKHmon ke wahan dekhe hain
ek ek harf se raushan hue jate the ufuq
aaine sehr-e-dabistan mein nihan dekhe hain
jin ki jadu-asari tana-e-ahabab bani
wo tilismat likhe harf-o-bayan dekhe hain
jin ki tabir mein ek umr ganwa di hum ne
raaz wo sina-e-giti mein nihan dekhe hain
jalte baam-o-dar-o-diwar sulagte hue shahr
jin se pathra gain aankhen wo saman dekhe hain
aasman-gir the shoale KHas-o-KHashak the jism
qaid-e-be-jurm mein sab pir-o-jawan dekhe hain
dil ne har zarra ke hamrah dhDakna sikha
tab nawaon mein ye mani ke jahan dekhe hain
Ghazal
Humne ek umr mein kya kya na jahan dekhe hain
Sajida Zaidi