hum ne honTon pe tabassum ko saja kar dekha
yani zaKHmon ko phir ek bar hara kar dekha
sari duniya mein nazar aane lage tere nuqush
parda jab chashm-e-basirat se uTha kar dekha
dur phir bhi na hui qalb-o-nazar ki zulmat
hum ne KHun apna charaghon mein jala kar dekha
apna chehra nazar aaya mujhe us chehre mein
is ke chehre se jo chehre ko haTa kar dekha
wo talluq teri ek zat se jo tha mujh ko
is talluq ko bahar-e-haal nibha kar dekha
barf hi barf nazar aati hai ta-hadd-e-nazar
zindagi hum ne teri khoj mein ja kar dekha
jawedan ho gaya har naghma-e-pur-dard mera
mere honTon se zamane ne chura kar dekha
Ghazal
Humne honTon pe tabassum ko saja kar dekha
Nasreen Naqqash