hum ne ghaTta-baDhta saya pag-pag chal kar dekha hai
har rahi ek dhundla-pan hai har jada ek dhoka hai
hum bhi kisi lamhe ki ungli tham ke ek din chal denge
tu ne to ai jaane wale jaane ko kya jaana hai
mazi ki be-nam gupha mein baiThe baiThe sochte hain
nagar-nagar hai shohrat apni ghar-ghar apna charcha hai
hum tum donon dost purane sadiyon ki majburi ke
is se baDh kar tum hi bolo aur bhi koi rishta hai
aate jate har rahi se puchh raha hun barson se
nam hamara le kar tum se haal kisi ne puchha hai
KHud ko pane ki chinta ne gyan jagaya duri ka
ghar apna hai shahr paraya bich mein lamba rasta hai
Ghazal
Humne ghaTta-baDhta saya pag-pag chal kar dekha hai
Vishvanath Dard