اردو हिंदी
Humne chup rah ke jo ek sath bitaya hua hai | Shaahi Shayari
humne chup rah ke jo ek sath bitaya hua hai

Ghazal

Humne chup rah ke jo ek sath bitaya hua hai

Abbas Tabish

;

hum ne chup rah ke jo ek sath bitaya hua hai
wo zamana meri aawaz mein aaya hua hai

ghair-manus si KHushbu se laga hai mujh ko
tu ne ye hath kahin aur milaya hua hai

main use dekh ke lauTa hun to kya dekhta hun
shahr ka shahr mujhe dekhne aaya hua hai