hum ne ashkon se tera nam likha pani par
yun jalaya hai sar-e-sham diya pani par
bhigi palkon pe ubharte gae yaadon ke nuqush
dekhte dekhte ek shahr basa pani par
mausam-e-nau ki KHabar KHushk zaminon ke liye
tairta aata hai patta jo hara pani par
munhasir chaar anasir pe hai insan ka wajud
naqsh miTTi ka bana aag hawa pani par
kisi zardar ke aage na pasara daman
ek KHuddar kai rose jiya pani par
kaun guzra hai ulajhta hua maujon se 'shabin'
dur tak kis ke hain naqsh-e-kaf-e-pa pani par

Ghazal
Humne ashkon se tera nam likha pani par
Shabana zaidi shabeen