hum ne ai dost rifaqat se bhala kya paya
ju-e-be-ab hai tu main shajar-e-be-saya
dard jo aql ke israf se bach rahta hai
ishq ke qaht-zadon ka hai wahi sarmaya
dida-o-dil se guzarta hai koi shaKHs aksar
jaise aahu-e-ramida ka gurezan saya
kal faqat gesu-e-barham the nishan-e-tashwish
aaj dekha to unhen aur pareshan paya
husn se jab bhi chhiDa marka-e-dida-o-dil
KHud mera ishq mere madd-e-muqabil aaya
main hun KHud apni hi KHakistar-e-jaan mein madfun
dafn ho jaise KHarabe mein koi sarmaya
Ghazal
Humne ai dost rifaqat se bhala kya paya
Rais Amrohvi