اردو हिंदी
Humne aap ke gham ko ham-safar banaya hai | Shaahi Shayari
humne aap ke gham ko ham-safar banaya hai

Ghazal

Humne aap ke gham ko ham-safar banaya hai

Badar Jamali

;

hum ne aap ke gham ko ham-safar banaya hai
yani zindagani ko mo'atabar banaya hai

har gham-e-zamana ko dil mein di jagah hum ne
KHub jo mila us ko KHub-tar banaya hai

inT aur patthar ka ghar nahin mila to kya
dushmanon ke dil mein bhi hum ne ghar banaya hai

ehtiyat sikhi hai be-usul logon se
hum ko chand andhon ne dida-war banaya hai

zist ke gharaunde ko hum ne apne hathon se
umr bhar bigaDa hai umr bhar banaya hai