hum naghma-sarai kaise karen bedad-garon ki mahfil mein
aankhon se lahu ka rag bahe to jazb ho kis patthar-dil mein
gulshan pe lapakte kaunde ko bulbul ki sada se KHush karna
gulshan ke muhafiz ki hai KHushi shayad barbaadi-e-kaamil mein
tum waz-e-mohabbat kya jaano tum ko wo junun kyun hasil ho
mushkil hai bahut hi shart-e-wafa nahaq na paDo is mushkil mein
tannaz hansi masmum nazar ye kaisi faza-e-ulfat hai
dekhen is daur ke sham-o-sahar kab tak rahen nargha-e-qatil mein
Ghazal
Hum naghma-sarai kaise karen bedad-garon ki mahfil mein
Niyaz Haidar