اردو हिंदी
Ham-nafas KHwab-e-junun ki koi tabir na dekh | Shaahi Shayari
ham-nafas KHwab-e-junun ki koi tabir na dekh

Ghazal

Ham-nafas KHwab-e-junun ki koi tabir na dekh

Abdul Mateen Niyaz

;

ham-nafas KHwab-e-junun ki koi tabir na dekh
raqs karna hai to phir panw ki zanjir na dekh

tu kisi husn-e-jahan-soz ki taswir na dekh
apne guzre hue haalat ki tafsir na dekh

husn-e-tadbir se taqdir badal de apni
jo hai haalat se mansub wo taqdir na dekh

tu parastar-e-amal hai to amal ki KHatir
KHwab-e-rangin ki qasam KHwab ki tabir na dekh

razm-e-hasti se guzarna hai agar tujh ko 'niyaz'
zulmat-e-shab ko samajh subh ki tanwir na dekh