hum na mahzuz hue hain kisi shai se aise
jaise masrur hain pine sate mai se aise
na hamein kaam hai hashmat sate jamshed ke kuchh
boriya bas hai ba-az masnad-e-kai se aise
chhoD duniya ko ba-duniya ze-haqiqat duniya
KHub waqif hun rag-o-resha-o-pai se aise
din duniya ki mohabbat mein agar ghaur karo
hai tanaffur mujhe jis tarah se kai se aise
nai mein taqat nahin nae ka karishma zahir
bujh nae ki sada jo sune nai se aise
KHub-ru agle zamane ke hain ab tak maujud
aafat-e-jaan jo the hain wahi waise aise
tu jo aawara hai 'afridi' bata kis ja par
dil liya kis ne tera kaun si lai se aise

Ghazal
Hum na mahzuz hue hain kisi shai se aise
Qasim Ali Khan Afridi