اردو हिंदी
Hum na hote kaKH-e-musht-e-KHak hota ghaaliban | Shaahi Shayari
hum na hote kaKH-e-musht-e-KHak hota ghaaliban

Ghazal

Hum na hote kaKH-e-musht-e-KHak hota ghaaliban

Rahi Fidai

;

hum na hote kaKH-e-musht-e-KHak hota ghaaliban
be-samaat naghma-e-laulak hota ghaaliban

aap ne achchha kiya tathir-e-KHwahish hi na ki
warna zamzam chashma-e-napak hota ghaaliban

aatish-e-karb-o-bala ne hosh ke naKHun liye
josh mein sail-e-KHas-o-KHashak hota ghaaliban

KHud hi baatil-saz ne hangama-arai na ki
KHush-libas-e-haq bhi daman-chaak hota ghaaliban

hadson ke KHauf se ehsas ki had mein na tha
warna nafs-e-mutmain saffak hota ghaaliban

soch kar hi to lagaya hajib-e-shams-o-qamar
la-makan par qabza-e-idrak hota ghaaliban

shoalagi ne is ko 'rahi' sad-shikasta kar diya
aaina dil surat-e-zahhak hota ghaaliban