hum mutmain hain us ki raza ke baghair bhi
har kaam chal raha hai KHuda ke baghair bhi
lipTi hui hai jism se zanjir-e-maslahat
be-dast-o-pa hain log saza ke baghair bhi
ek karobar-e-shauq hi aisa hai jis mein ab
chalta hai kaam makr-o-riya ke baghair bhi
ek lamha apne-ap ko yakja na kar sake
hum muntashir hain sail-e-bala ke baghair bhi
ek chup si lag gai thi mujhe us ke ru-ba-ru
main sar-nigun khaDa tha KHata ke baghair bhi
Ghazal
Hum mutmain hain uski raza ke baghair bhi
Sultan Akhtar