اردو हिंदी
Hum musalsal ek bayan dete hue | Shaahi Shayari
hum musalsal ek bayan dete hue

Ghazal

Hum musalsal ek bayan dete hue

Alok Mishra

;

hum musalsal ek bayan dete hue
thak chuke hain imtihan dete hue

be-zaban alfaz kaghaz par yahan
gungi yaadon ko zaban dete hue

ho gae gharqab us ki aankh mein
KHwahishon ko hum makan dete hue

phir ubhar aaya teri yaadon ka chand
ujla ujla sa dhuan dete hue

lutf jalne ka alag hai hijr mein
zaKHm mere imtihan dete hue

la rahe hain nind ke aaghosh mein
ashk mujh ko thapkiyan dete hue

ro paDa tha jaane kyun wo Dakiya
aaj mujh ko chiTThiyan dete hue

ek bala ka shor tha aankhon mein par
kah na paya kuchh wo jaan dete hue

fasla itna na rakhna tha KHuda
is zamin ko aasman dete hue