اردو हिंदी
Hum musafir yunhi masruf-e-safar jaenge | Shaahi Shayari
hum musafir yunhi masruf-e-safar jaenge

Ghazal

Hum musafir yunhi masruf-e-safar jaenge

Faiz Ahmad Faiz

;

hum musafir yunhi masruf-e-safar jaenge
be-nishan ho gae jab shahr to ghar jaenge

kis qadar hoga yahan mehr-o-wafa ka matam
hum teri yaad se jis roz utar jaenge

jauhari band kiye jate hain bazar-e-suKHan
hum kise bechne almas-o-guhar jaenge

nemat-e-zist ka ye qarz chukega kaise
lakh ghabra ke ye kahte rahen mar jaenge

shayad apna bhi koi bait hudi-KHwan ban kar
sath jaega mere yar jidhar jaenge

'faiz' aate hain rah-e-ishq mein jo saKHt maqam
aane walon se kaho hum to guzar jaenge