اردو हिंदी
Hum musafir hain ki maqsud-e-safar jaante hain | Shaahi Shayari
hum musafir hain ki maqsud-e-safar jaante hain

Ghazal

Hum musafir hain ki maqsud-e-safar jaante hain

Ishaq Athar Siddiqui

;

hum musafir hain ki maqsud-e-safar jaante hain
kaise banti hai koi rahguzar jaante hain

be-ghari zad-e-safar ho to Thaharna kaisa
itne aadab to ye KHak-ba-sar jaante hain

rah-e-sunnat bhi yahi jada-e-hijrat bhi yahi
panw ruk jaen jahan bhi use ghar jaante hain

kya KHabar Dub ke ubhrin ki ubhar kar Duben
zist ko hum to samundar ka safar jaante hain

kitni is daur mein aazadi hai majburon ko
KHauf ki aag mein jalte hue par jaante hain

KHushk honTon pe likhi hai ye kahani kis ne
kah nahin sakte magar dida-e-tar jaante hain

koi mahram hai ki mahrum hamein kya malum
un se puchho jo maqamat-e-nazar jaante hain

hum ko aate nahin andaz-e-hunar-mandi-e-fan
ye alag baat ki tauqir-e-hunar jaante hain

ghar se bahar jo nikalte hi nahin hain 'athar'
kitni aasan teri rahguzar jaante hain