hum maut bhi aae to masrur nahin hote
majbur-e-gham itne bhi majbur nahin hote
dil hi mein nahin rahte aankhon mein bhi rahte ho
tum dur bhi rahte ho to dur nahin hote
paDti hain abhi dil par sharmai hui nazren
jo war wo karte hain bharpur nahin hote
ummid ke wadon se ji kuchh to bahalta tha
ab ye bhi tere gham ko manzur nahin hote
arbab-e-mohabbat par tum zulm ke bani ho
ye warna mohabbat ke dastur nahin hote
kaunain pe bhaari hai allah re ghurur un ka
itne bhi ada wale maghrur nahin hote
hai ishq tera 'fani' tashhir bhi shohrat bhi
ruswa-e-mohabbat yun mashhur nahin hote
Ghazal
Hum maut bhi aae to masrur nahin hote
Fani Badayuni