hum mar gae pa shikwe ki munh par na aai baat
kyun be-zaban aashiqon ki aazmai baat
dawa-e-ishq karne ka kya munh kisi ka tha
kam bolne ne tere ye sari baDhai baat
ham-peshgi ki mujh se kare guftugu raqib
munh us ka dekho hai ye tumhaari sikhai baat
sab kuchh paDhaya hum ko murdarris ne ishq ke
milta hai jis se yar na aisi paDhai baat
apna kise kahun na kahun kis ko hai ghazab
jis waqt munh se nikli hui phir parai baat
kya ghair ne kaha ki lage budbudane tum
main ne bhi chheDne ki nai ab to pai baat
mazkura kal ka jaane do ho jaoge KHafa
thamti nahin zaban pe jis waqt aai baat
majnun ke nam se mera haal us ne tab suna
shukr-e-KHuda ki KHub ban aai banai baat
bulbul ka nala aage mere is tarah se hai
jis tarah shahriyon se kare rustai baat
taqrir-e-saf par jo 'raza' ki kare nazar
andhe ke tain ajab nahin dewe dikhai baat
Ghazal
Hum mar gae pa shikwe ki munh par na aai baat
Raza Azimabadi