hum mai-kashon ke qadmon par akasr
jhuk jhuk gae hain mehrab-o-mimbar
sharmaega ab ta-hashr tufan
TuTi hui ek kashti Dubo kar
ab sham-e-hasrat lau de uThi hai
ai sarsar-e-gham daman bacha kar
aashuftagi ko nind aa chali hai
barham na ho wo zulf-e-moambar
kya ab bhi koi farda hai baqi
kis soch mein ho ai ahl-e-mahshar
kya tanz-e-dauran kya hur-e-KHuban
dil hi sitam-kash dil hi sitamgar
chup hain 'rawish' ab arbab-e-danish
the tanz kya kya ahl-e-junun par
Ghazal
Hum mai-kashon ke qadmon par akasr
Ravish Siddiqi