hum mani-e-hawas nahin ai dil hawa-e-dost
raazi ho bas isi mein ho jis mein raza-e-dost
tughra-e-imtiyaz hai KHud ibtila-e-dost
us ke baDe nasib jise aazmae dost
yan jumbish-e-mizha bhi gunah-e-azim hai
chup-chap dekhte raho jo kuchh dikhae dost
milti nahin kisi ko sanad imtihan baghair
dar-o-rasan ke hukm ko samjho sila-e-dost
yaqub par fuzul hue log KHanda-zan
yan la-makan se aati hai bu-e-qaba-e-dost
kya kam tha hijr-e-yar hi phir us pe rashk-e-ghair
dushman ko bhi KHuda na kare mubtala-e-dost
hai ruh bhi nisar badan bhi nisar-e-yar
dil bhi fida-e-dost jigar bhi fida-e-dost
'jauhar' wo sabr aap hi dega agar hamein
hai imtiyaz-e-wada sabr-azma-e-dost
Ghazal
Hum maani-e-hawas nahin ai dil hawa-e-dost
Mohammad Ali Jauhar