hum logon ko apne dil ke raaz batate rahte hain
log hamari baaten sun kar hanste hansate rahte hain
jin lamhon ne luT liya tha mere dil ki duniya ko
aksar meri mahfil-e-gham mein aate jate rahte hain
duniya walon ki baaton se un ka ji kyun jalta hai
duniya to diwani hai wo kyun ghabraate rahte hain
hum ko gham-e-dauran bhi nahin hai aur gham-e-jaanan bhi nahin
jaane phir kyun baat baat par ashk bahate rahte hain
hum rahi hum diwane aadab-e-safar ko kya jaanen
har manzil har rahguzar mein KHak uDate rahte hain
mujh ko har ek afsane mein apna aks nazar aae
log mujhe hi mere gham ka haal sunate rahte hain
wo diwana baat baat par raat raat bhar rota hai
garche hum 'shahzad' ko KHalwat mein samjhate rahte hain
Ghazal
Hum logon ko apne dil ke raaz batate rahte hain
Shahzad Ahmad