hum log to aakas ki belon mein ghire hain
KHush-baKHt hain jo gulshan-e-hasti mein khile hain
is dhup ki shiddat se nahin koi mafar ab
diwar ke sae mein baDe log khaDe hain
kis kis ko dikhate rahen jebon ke ye suraKH
har moD par kashkol liye log khaDe hain
ek rose hamin honge ujale ke payambar
hum log ki muddat se andhere mein paDe hain
ye zist kuchh aise hai ki uljhe hue dhage
TuTe hue niklen jinhen samjhen ki sire hain
har rose koi Tanka udhaD jata hai phir se
hum waqt ki sozan se kai bar sile hain
jab waqt paDa dekhna de jaenge dhoka
ye dost nahin 'faKHr' sabhi kachche ghaDe hain
Ghazal
Hum log to aakas ki belon mein ghire hain
Fakhr Zaman