hum kya kahen ki aabla-pai se kya mila 
duniya mili kisi ko kisi ko KHuda mila 
hum KHud ko dekhne ke to laeq na the magar 
har aaina hamari taraf dekhta mila 
aisa tha kaun ruh ke andar jo dekhta 
har sath mein wagarna hamein jaanchta mila 
insan aur waqt mein kab dosti rahi 
har lamha aadmi ka lahu chaTta mila 
insan samajh ke hum ne use dil mein rakh liya 
insan ke rup mein magar ek dewta mila 
dildar bhi mile hamein par is ko kya karen 
koi KHayal sa to koi KHwab sa mila
        Ghazal
Hum kya kahen ki aabla-pai se kya mila
Abdullah Javed

