hum kya jaanen qissa kya hai hum Thahre diwane log
us basti ke bazaron mein roz kahen afsane log
yaadon se bachna mushkil hai un ko kaise samjhaen
hijr ke is sahra tak hum ko aate hain samjhane log
kaun ye jaane diwane par kaisi saKHt guzarti hai
aapas mein kuchh kah kar hanste hain jaane pahchane log
phir sahra se Dar lagta hai phir shahron ki yaad aai
phir shayad aane wale hain zanjiren pahnane log
hum to dil ki virani bhi dikhlate sharmate hain
hum ko dikhlane aate hain zehnon ke virane log
us mahfil mein pyas ki izzat karne wala hoga kaun
jis mahfil mein toD rahe hon aaankhon se paimane log
Ghazal
Hum kya jaanen qissa kya hai hum Thahre diwane log
Rahi Masoom Raza