hum ko ye Dar hai ki imkan kisi aur ka hai
yani wo shaKHs nigahban kisi aur ka hai
ye jo har lahza dhaDakte hain mere sine mein
dil kisi aur ka arman kisi aur ka hai
ghaebana yahi samjha wo faqat mera hai
jab mila to laga nadan kisi aur ka hai
dastaken sun ke hi andaza hua tha hum ko
wo hamara nahin mehman kisi aur ka hai
hakim-e-sham ki baiat se khula hai mujh par
taKHt par mani-e-quran kisi aur ka hai
hum musafir hain to jaana hai kahin aur hamein
ghar kisi aur ka saman kisi aur ka hai
hum yunhi qarz chukate rahe anjaane mein
kash hum jaante tawan kisi aur ka hai
bandh kar sar pe kafan kud paDe hain jis mein
jang hai ghair ki maidan kisi aur ka hai
ruKH wo rakhta hai ba-zahir meri jaanib lekin
wo to mera nahin sultan kisi aur ka hai
main hun na-KHush ki KHizan aan paDi hai be-waqt
baghban KHush hai ki nuqsan kisi aur ka hai
umr-bhar hum ne pilaya hai jinhen apna lahu
wo bahaaren wo gulistan kisi aur ka hai
ye makan kis ki wirasat hai hamein kya malum
sahn apna hai to dalan kisi aur ka hai
sehn-e-gulshan se nikal jaane ka mera shaha
main samajhta raha elan kisi aur ka hai
karwan luTne ka us ko to nahin dard 'nabil'
wo samajhta hai ki nuqsan kisi aur ka hai
yun bhi mahrum hain hum rang se KHushbu se 'nabil'
phul apne hain to gul-dan kisi aur ka hai
Ghazal
Hum ko ye Dar hai ki imkan kisi aur ka hai
Nabeel Ahmad Nabeel