اردو हिंदी
Hum ko yan dar dar phiraya yar ne | Shaahi Shayari
hum ko yan dar dar phiraya yar ne

Ghazal

Hum ko yan dar dar phiraya yar ne

Niyaz Barelvi

;

hum ko yan dar dar phiraya yar ne
la-makan mein ghar banaya yar ne

aap apne dekhne ke waste
hum ko aaina banaya yar ne

apne ek adna tamashe ke liye
hum ko suli par chaDhaya yar ne

aap chhup ke hum ko kar ke ru-ba-ru
KHub hi ruswa karaya yar ne

aap to but ban ke ki jalwagari
aur hamein kafir banaya yar ne