اردو हिंदी
Hum ko yaad na aao ab | Shaahi Shayari
hum ko yaad na aao ab

Ghazal

Hum ko yaad na aao ab

Ajeet Singh Hasrat

;

hum ko yaad na aao ab
bhar jaane do ghaw ab

aag bujhao tan-man ki
aisa meinh barsao ab

jaana hai us par hamein
manjhi aur na naw ab

apne roza-daron ko
id ka chand dikhao ab

ruTha yar manana hai
koi swang rachao ab

ro ro ke mar jaenge
hum se dur na jao ab

tujh par kya uftad paDi
'hasrat' nir bahao ab