اردو हिंदी
Hum ko us shoKH ne kal dar talak aane na diya | Shaahi Shayari
hum ko us shoKH ne kal dar talak aane na diya

Ghazal

Hum ko us shoKH ne kal dar talak aane na diya

Zain-ul-Abideen Khan Arif

;

hum ko us shoKH ne kal dar talak aane na diya
dar-o-diwar ko bhi haal sunane na diya

parda-e-chashm mein har dam to chhupae aansu
be-qarari ne mujhe raaz chhupane na diya

mujh ko aaluda rakha is meri gumrahi ne
araq-e-sharm-e-gunah bhi to bahane na diya

tere kahne se main ab laun kahan se naseh
sabr jab is dil-e-muztar ko KHuda ne na diya

mana hai bas ki KHur-o-KHwab hamein gham mein tere
mar ke sone na diya zahr bhi khane na diya

hun sitamgar main jafaon se teri sharminda
na-tawani ne mujhe sar bhi uThane na diya

dam ka aana to baDi baat hai lab par 'arif'
zoaf ne harf-e-shikayat kabhi aane na diya