اردو हिंदी
Hum ko to KHair pahunchna tha jahan tak pahunche | Shaahi Shayari
hum ko to KHair pahunchna tha jahan tak pahunche

Ghazal

Hum ko to KHair pahunchna tha jahan tak pahunche

Kaleem Aajiz

;

hum ko to KHair pahunchna tha jahan tak pahunche
jo hamein rok rahe the wo kahan tak pahunche

fasl-e-gul tak rahe ya daur-e-KHizan tak pahunche
baat jab nikli hai munh se to jahan tak pahunche

mere ashaar mein hai husn-e-maani ki talash
log ab tak na mere dard-e-nihan tak pahunche

mujh ko rahne do mere dard ki lazzat mein KHamosh
ye wo afsana nahin hai jo zaban tak pahunche

teri zulfon ki ghani chhanw kise milti hai
kis ki taqdir-e-rasa hai ki wahan tak pahunche

manzil-e-dar-o-rasan bhi hai ruKH-o-zulf ke baad
dekhiye shauq hamein le ke kahan tak pahunche

tarjuman apna banaya hai mujhe rindon ne
kash aawaz meri pir-e-mughan tak pahunche

aap ke mashghala-e-sher-o-suKHan se 'ajiz'
kaam to kuchh na hua nam jahan tak pahunche