اردو हिंदी
Hum ko to gardish-e-haalat pe rona aaya | Shaahi Shayari
hum ko to gardish-e-haalat pe rona aaya

Ghazal

Hum ko to gardish-e-haalat pe rona aaya

Saifuddin Saif

;

hum ko to gardish-e-haalat pe rona aaya
rone wale tujhe kis baat pe rona aaya

kaise jite hain ye kis tarah jiye jate hain
ahl-e-dil ki basar-auqat pe rona aaya

ji nahin aap se kya mujh ko shikayat hogi
han mujhe talKHi-e-haalat pe rona aaya

husn-e-maghrur ka ye rang bhi dekha aaKHir
aaKHir un ko bhi kisi baat pe rona aaya

kaise mar mar ke guzari hai tumhein kya malum
raat bhar taron bhari raat pe rona aaya

kitne betab the rim-jhim mein piyenge lekin
aai barsat to barsat pe rona aaya

husn ne apni jafaon pe bahae aansu
ishq ko apni shikayat pe rona aaya

kitne anjaan hain kya sadgi se puchhte hain
kahiye kya meri kisi baat pe rona aaya

awwal awwal to bas ek aah nikal jati thi
aaKHir aaKHir to mulaqat pe rona aaya

'saif' ye din to qayamat ki tarah guzra hai
jaane kya baat thi har baat pe rona aaya