hum ko tasir-e-gham se marna hai
ab isi rang mein nikharna hai
dil-e-muztar ka KHun karna hai
nala-e-gham mein dard bharna hai
zindagi kya hai sabr karna hai
KHun ka ghunT pi ke marna hai
jaan-nisari qubul ho ki na ho
hum ko apni si kar guzarna hai
husn ho ishq ho junun ho ki hosh
sab se begana dil ko karna hai
ab koi zahr de ki baada-e-nab
ek paimana hum ko bharna hai
dekh li hum ne ishq ki miras
is se aage bhi ab guzarna hai
mauj-e-dariya hain hum hamara kya
kabhi miTna kabhi ubharna hai
DhunDhta phirta hun nigah-e-KHulus
dil-e-murda ko zinda karna hai
samm-e-qatil 'jigar' nahin milta
dil ka qissa tamam karna hai
Ghazal
Hum ko tasir-e-gham se marna hai
Jigar Barelvi