hum ko masti o KHwari aai
tum ko duniya-dari aai
dil-jui dildari aai
tum ko bhi ye ayyari aai
phul ko hum ne jab bhi chhua hai
hath mein ek chingari aai
saqi gum KHali mai-KHana
kaisi ye baad-e-bahaari aai
husn wahi hai husn ki jis ko
sadgi o purkari aai
mushkil jab aasan hui to
ulfat mein dushwari aai
maqtal mein ek shor bapa hai
aai meri bai aai
husn ki har masum nazar se
dil par zarb-e-kari aai
subh se dil masrur hai 'sahir'
raat ye hum par bhaari aai

Ghazal
Hum ko masti o KHwari aai
Sahir Hoshiyarpuri