hum ko manzur tumhaara jo na parda hota
sara ilzam sar apne hi na aaya hota
dost-ahbab bhi be-gane nazar aate hain
kash ek shaKHs ko itna bhi na chaha hota
muft manga tha kisi ne so use baKHsh diya
aisa sasta bhi na tha dil jise becha hota
jaan kar hum ne kiya KHud ko KHarab-o-ruswa
warna hum wo the farishton ne bhi puja hota
ahl-e-duniya ko bahut hum se bhi ummiden thin
zindagi tujh se magar apna na jhagDa hota
naseho hum ko bhi anjam-e-junun hai malum
us ko samjhao jo ye sab na samajhta hota
wo KHirad-mand wo ba-hosh 'wahid' aaj kahan
milne walon se kabhi tum ne ye puchha hota
Ghazal
Hum ko manzur tumhaara jo na parda hota
Waheed Akhtar