hum ko mahrum-e-karam us ki jafa ne rakkha
zist se tang kisi tang qaba ne rakkha
sach to ye hai ki dua ne na dawa ne rakkha
hum ko zinda tere daman ki hawa ne rakkha
husn wale to bahut aur hain duniya mein magar
un ko yakta-e-zaman un ki ada ne rakkha
hasrat-e-did na sharminda-e-takmil hui
tere jalwaon ne kahan hosh Thikane rakkha
zulm chup ho ke sahen aise to majbur na the
hum ko lachaar magar teri raza ne rakkha
rah-e-ulfat mein bahut aae maqam-e-laghzish
shukr-sad-shukr bharam mera wafa ne rakkha
bas hamin tak rahen mahdud jafaen un ki
lutf itna to rawa ahl-e-jafa ne rakkha
rasta rok liya fart-e-nazakat ne kabhi
pas aae to unhen dur haya ne rakkha
kabhi daman-o-gireban se ulajhte rahe hath
dard-e-dil ne kabhi masruf dua ne rakkha
yaad aate rahe be-tarah moattar gesu
aaj bechain bahut baad-e-saba ne rakkha
'KHar' dushman ne to ilzam tarashe kya kya
surKH-ru mujh ko magar meri wafa ne rakkha
Ghazal
Hum ko mahrum-e-karam uski jafa ne rakkha
Khar Dehlavi