hum ko malum hai baaton ki sadaqat teri
log kya kya nahin karte hain shikayat teri
malka-e-husn nahin phir bhi tu ai jaan-e-wafa
achchhi lagti hai bahut hi mujhe surat teri
koi mushkil bhi ho KHatir mein na late the kabhi
hausla kitna baDhati thi rifaqat teri
tu hi batla ki bhala tujh ko bhulaen kyun kar
samne aankhon ke aa jati hai surat teri
kya kahen hum ki guzar jati hai dil par kya kya
yaad aati hai jo rah rah ke inayat teri
log kya sada hain ummid-e-wafa rakhte hain
jaise malum nahin un ko haqiqat teri
ab kahan rahta hai kya karta hai 'nadir' mere
muddaton baad nazar aati hai surat teri
Ghazal
Hum ko malum hai baaton ki sadaqat teri
Athar Nadir