hum ko lutf aata hai ab fareb khane mein
aazmaen logon ko KHub aazmane mein
do-ghaDi ke sathi ko ham-safar samajhte hain
kis qadar purane hain hum nae zamane mein
tere pas aane mein aadhi umr guzri hai
aadhi umr guzregi tujh se ub jaane mein
ehtiyat rakhne ki koi had bhi hoti hai
bhed hamin ne khole hain bhed ko chhupane mein
zindagi tamasha hai aur is tamashe mein
khel hum bigaDenge khel ko banane mein
Ghazal
Hum ko lutf aata hai ab fareb khane mein
Alam Khursheed