hum ko KHush aaya tera hum se KHafa ho jaana
sar-ba-sar KHwab ka tabir-numa ho jaana
chand ashkon ne chhupaya hai mukammal manzar
hum pe khulta hi gaya tera juda hona
apni KHwahish teri yaadon mein bhaTakti hai kahin
jaise gul-gasht mein titli ka fana ho jaana
shaKH-dar-shaKH subuksar hawaon ka guzar
ek qafas se kisi panchhi ka raha ho jaana
ashk girte hi khile phul mere daman mein
rut badalte hi parindon ka sada ho jaana
ek sae ka hai ehsas mere sar pe sada
kaun sochega kabhi KHud se KHuda ho jaana
aashna hum bhi mohabbat se nahin hain hargiz
hae is rabt ka bhi nazr-e-ana ho jaana
Ghazal
Hum ko KHush aaya tera humse KHafa ho jaana
Saadullah Shah