اردو हिंदी
Hum ko kab intizar hai fasl-e-bahaar ho na ho | Shaahi Shayari
hum ko kab intizar hai fasl-e-bahaar ho na ho

Ghazal

Hum ko kab intizar hai fasl-e-bahaar ho na ho

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

hum ko kab intizar hai fasl-e-bahaar ho na ho
dagh-e-jigar shagufta baad-e-gul ba-kanar ho na ho

dard tu mere pas se marte talak na jaiyo
taqat-e-sabr ho na ho tab-o-qarar ho na ho

subh to hui hai der kya teri bala se saqiya
jam-e-sharab tu to de hum ko KHumar ho na ho

tir-e-nigah laga ke tum kahte ho phir laga na KHub
mera to kaam ho gaya sine ke par ho na ho

talib-e-yak-nazara hun itna bhi mujh se bair kya
munh to meri taraf ko ho go ki do-chaar ho na ho

halqa-e-dar hai halqa-zan koi bhala KHabar to lo
dil mera shadi-marg hai hai wahi yar ho na ho

'hatim' agar gunah kare shikwa na kar KHuda se Dar
fidwi jaan-nisar hai tu bhi hazar ho na ho