اردو हिंदी
Hum ko junun kya sikhlate ho hum the pareshan tum se ziyaada | Shaahi Shayari
hum ko junun kya sikhlate ho hum the pareshan tum se ziyaada

Ghazal

Hum ko junun kya sikhlate ho hum the pareshan tum se ziyaada

Majrooh Sultanpuri

;

hum ko junun kya sikhlate ho hum the pareshan tum se ziyaada
chaak kiye hain hum ne azizo chaar gareban tum se ziyaada

chaak-e-jigar mohtaj-e-rafu hai aaj to daman sarf-e-lahu hai
ek mausam tha hum ko raha hai shauq-e-bahaaran tum se ziyaada

ahd-e-wafa yaron se nibhaen naz-e-harifan hans ke uThaen
jab hamein arman tum se siwa tha ab hain pasheman tum se ziyaada

hum bhi hamesha qatl hue aur tum ne bhi dekha dur se lekin
ye na samajhna hum ko hua hai jaan ka nuqsan tum se ziyaada

jao tum apne baam ki KHatir sari lawen shamon ki katar lo
zaKHm ke mehr-o-mah salamat jashn-e-charaghan tum se ziyaada

dekh ke uljhan zulf-e-dota ki kaise ulajh paDte hain hawa se
hum se sikho hum ko hai yaro fikr-e-nigaran tum se ziyaada

zanjir o diwar hi dekhi tum ne to 'majruh' magar hum
kucha kucha dekh rahe hain aalam-e-zindan tum se ziyaada