hum ko diwana jaan ke kya kya zulm na Dhaya logon ne
din chhuDaya dharm chhuDaya des chhuDaya logon ne
teri gali mein aa nikle the dosh hamara itna tha
patthar mare tohmat bandhi aib lagaya logon ne
teri laTon mein so lete the be-ghar aashiq be-ghar log
buDhe bargad aaj tujhe bhi kaT giraya logon ne
nur-e-sahar ne nikhat-e-gul ne rang-e-shafaq ne kah di baat
kitna kitna meri zaban par qufl lagaya logon ne
'mir-taqi' ke rang ka ghaza ru-e-ghazal par aa na saka
'kaif' hamare 'mir-taqi' ka rang uDaya logon ne
Ghazal
Hum ko diwana jaan ke kya kya zulm na Dhaya logon ne
Kaif Bhopali