hum ko dikha dikha ke ghairon ke itr malna
aata hai KHub tum ko chhati pe mung dalna
mahshar bapa kiya hai raftar ne tumhaari
is chaal ke tasadduq ye bhi hai koi chalna
ghairon ke ghar to shab ko jate ho barha tum
bhule se mere ghar bhi ek rose aa nikalna
haT ki kuchh intiha hai zid ki bhi koi had hai
ye baat baat par to achchha nahin machalna
jalta hai ghair hum se to kya KHata hamari
tum ye samajh lo us ki taqdir mein hai jalna
jab tak hain tere dar par dil-bastagi si hai kuchh
ye aastan jo chhuTa mushkil hai ji bahalna
dekho 'hafiz' apne ji ki jo KHair chaho
baste jidhar hasin hon wo rasta na chalna
Ghazal
Hum ko dikha dikha ke ghairon ke itr malna
Hafeez Jaunpuri