hum ko chheDa to machal jaenge arman ki tarah
hum pareshan hain teri zulf-e-pareshan ki tarah
har gali aai nazar kucha-e-jaanan ki tarah
hum ko duniya ye lagi shahr-e-nigaran ki tarah
kam na hogi ye KHalish dil ki kisi bhi surat
dil mein sau gham hain makin KHar-e-mughilan ki tarah
log ruk ruk ke chale jaanib-e-manzil lekin
hum rahe garm-e-safar gardish-e-dauran ki tarah
ab to har shaKHs pe hota hai guman qatil ka
koi milta hi nahin aadmi insan ki tarah
hum ne baKHshe hain andheron ko ujale lekin
hum hi be-nur rahe gor-e-ghariban ki tarah
hum 'kanwal' aap mein rahte hain magar us se alag
hum to gulshan mein bhi rahte hain bayaban ki tarah
Ghazal
Hum ko chheDa to machal jaenge arman ki tarah
D. Raj Kanwal