hum kise karte bhala rahbar-e-manzil apna
rah-e-ulfat mein na tha koi ba-juz dil apna
chain deta nahin dam-bhar dil-e-bismil apna
muKHtasar ye hai ki qabu mein nahin dil apna
kyun na aasan ho tariki-e-shab mein bhi safar
dagh-e-dil jab hai charagh-e-rah-e-manzil apna
lakh chaha ki na fariyaad karen hum lekin
dard-e-furqat na raha zabt ke qabil apna
qabr mein bhi hamein aaram ki ummid ho kya
aashna pahlu-e-rahat se nahin dil apna
sath hasti mein diya ta-dam-e-aKHir dil ne
itna dam-saz koi hoga ba-mushkil apna
mujh ko dushwar na tha ishq se pahle kuchh bhi
ab to har kaam nazar aata hai mushkil apna
ab to fariyaad ki taqat na rahi ai 'shoala'
warna har nala falak se tha muqabil apna
Ghazal
Hum kise karte bhala rahbar-e-manzil apna
Shola Kararvi